karunga zindagi mein KHalq-ashna ho kar
karūñgā zindagī meñ ḳhalq-āshnā ho kar
savād-e-sañg-e-jahāñ meñ ik aa.ina ho kar
ḳhizāñ kā daur hai aur dil meñ aarzū ye hai
ki maiñ gulāb khilātā phirūñ sabā ho kar
ye chup kā shahr mire saath jo sulūk kare
maiñ chup ke shahr meñ zinda rahūñ sadā ho kar
jo hashr tak rahā duniyā meñ tīrgī kā samāñ
to hashr tak maiñ rahūñgā charāġh-pā ho kar
mire sukūt-o-sadā ke sharīk ho jaao
rah-e-hayāt se guzreñge qāfila ho kar
fanā kā shahr hai ye ziist kā jahāñ 'bedī'
yahāñ maro bhī to paiġhambar-e-baqā ho kar
karunga zindagi mein KHalq-ashna ho kar
sawad-e-sang-e-jahan mein ek aaina ho kar
KHizan ka daur hai aur dil mein aarzu ye hai
ki main gulab khilata phirun saba ho kar
ye chup ka shahr mere sath jo suluk kare
main chup ke shahr mein zinda rahun sada ho kar
jo hashr tak raha duniya mein tirgi ka saman
to hashr tak main rahunga charagh-pa ho kar
mere sukut-o-sada ke sharik ho jao
rah-e-hayat se guzrenge qafila ho kar
fana ka shahr hai ye zist ka jahan 'bedi'
yahan maro bhi to paighambar-e-baqa ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.