kasak thi dil mein abhi iztirab aisa tha
kasak thī dil meñ abhī iztirāb aisā thā
hamāre paas thā koī ki ḳhvāb aisā thā
mire junūñ ko fazīlat-ma.āb tum ne kiyā
jahān-e-ishq meñ kis kā ḳhitāb aisā thā
lagā ki aañkh hī pathrā ga.ī hai nargis kī
hamāre saath jo royā sahāb aisā thā
nazar meñ koī samundar kabhī samāyā nahīñ
magar vajūd hamārā habāb aisā thā
raheñ nigāh meñ mub.ham haqīqateñ sab kī
har ek chehre pe dohrā naqāb aisā thā
pareshāñ kartī hai rah rah ke ab bhī vo ḳhushbū
vafā-shi.ār vo rashk-e-gulāb aisā thā
kitāb dār-o-rasan tak hī paḌh sake aksar
kamāl-e-ishq kā mushkil nisāb aisā thā
zamāna guzrā magar ab bhī hai vo dard-e-jigar
azal se dil kā mire intiḳhāb aisā thā
zamāna aaj bhī izzat se naam letā hai
'nazīr' aap kā ḳhāna-ḳharāb aisā thā
kasak thi dil mein abhi iztirab aisa tha
hamare pas tha koi ki KHwab aisa tha
mere junun ko fazilat-maab tum ne kiya
jahan-e-ishq mein kis ka KHitab aisa tha
laga ki aankh hi pathra gai hai nargis ki
hamare sath jo roya sahab aisa tha
nazar mein koi samundar kabhi samaya nahin
magar wajud hamara habab aisa tha
rahen nigah mein mubham haqiqaten sab ki
har ek chehre pe dohra naqab aisa tha
pareshan karti hai rah rah ke ab bhi wo KHushbu
wafa-shiar wo rashk-e-gulab aisa tha
kitab dar-o-rasan tak hi paDh sake aksar
kamal-e-ishq ka mushkil nisab aisa tha
zamana guzra magar ab bhi hai wo dard-e-jigar
azal se dil ka mere intiKHab aisa tha
zamana aaj bhi izzat se nam leta hai
'nazir' aap ka KHana-KHarab aisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.