kasar koi na chhoDi TuTne ka Dar banane mein
kasar koī na chhoḌī TūTne kā Dar banāne meñ
kise phir dosh deñ ham apnā dil patthar banāne meñ
kabhī nafrat nahīñ shāmil huā kartī akelī hī
bharosa chāhiye hotā hai ik ḳhanjar banāne meñ
yaqīñ qurbāniyāñ samjhaute chhat ko thāme rakhte haiñ
na bas īñTeñ lagā kartī haiñ ghar ko ghar banāne meñ
kasar koi na chhoDi TuTne ka Dar banane mein
kise phir dosh den hum apna dil patthar banane mein
kabhi nafrat nahin shamil hua karti akeli hi
bharosa chahiye hota hai ek KHanjar banane mein
yaqin qurbaniyan samjhaute chhat ko thame rakhte hain
na bas inTen laga karti hain ghar ko ghar banane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.