kashakash-e-gham-e-lail-o-nahaar se niklen
kashākash-e-ġham-e-lail-o-nahār se nikleñ
ho ḳhatm umr to is karbzār se nikleñ
tilism-e-ḳhud-nigarī toḌ kar tū bāhar aa
to ham bhī apnī anā ke hisār se nikleñ
hamāre aks meñ dhundlāhaTeñ haiñ maazī kī
ġhubār dil kā chhaTe to ġhubār se nikleñ
vahāñ bhī saḳht masā.il kā sāmnā hogā
to kis umiid pe is regzār se nikleñ
ham apnī had se tajāvuz to kar nahīñ sakte
huzūr aap hī qaid-e-vaqār se nikleñ
samajh lo zauq-e-adab par ma.āsh haavī hai
jarīde shahr meñ jab ishtihār se nikleñ
kashakash-e-gham-e-lail-o-nahaar se niklen
ho KHatm umr to is karbzar se niklen
tilism-e-KHud-nigari toD kar tu bahar aa
to hum bhi apni ana ke hisar se niklen
hamare aks mein dhundlahaTen hain mazi ki
ghubar dil ka chhaTe to ghubar se niklen
wahan bhi saKHt masail ka samna hoga
to kis umid pe is regzar se niklen
hum apni had se tajawuz to kar nahin sakte
huzur aap hi qaid-e-waqar se niklen
samajh lo zauq-e-adab par maash hawi hai
jaride shahr mein jab ishtihaar se niklen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.