Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kashmakash mein hai meri jaan baDi mushkil hai

Syed Ali Mohsin Shahidi

kashmakash mein hai meri jaan baDi mushkil hai

Syed Ali Mohsin Shahidi

MORE BYSyed Ali Mohsin Shahidi

    kashmakash meñ hai mirī jaan baḌī mushkil hai

    dil meñ armānoñ tūfān baḌī mushkil hai

    ek TuuTā huā dil ya.anī shikasta sāhil

    aur uThte hue tūfān baḌī mushkil hai

    tum pe martā huuñ magar jaan nahīñ de saktā

    kyūñki ho tum mirī jaan baḌī mushkil hai

    roz aate ho tasavvur meñ qayāmat ban kar

    aur karte ho pareshān baḌī mushkil hai

    dil baḌī chiiz hai 'mohsin' mujhe hai naaz us par

    vo bhī ab un pe hai qurbān baḌī mushkil hai

    kashmakash mein hai meri jaan baDi mushkil hai

    dil mein armanon ka tufan baDi mushkil hai

    ek TuTa hua dil yani shikasta sahil

    aur uThte hue tufan baDi mushkil hai

    tum pe marta hun magar jaan nahin de sakta

    kyunki ho tum hi meri jaan baDi mushkil hai

    roz aate ho tasawwur mein qayamat ban kar

    aur karte ho pareshan baDi mushkil hai

    dil baDi chiz hai 'mohsin' mujhe hai naz us par

    wo bhi ab un pe hai qurban baDi mushkil hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now