kashmakash mein zindagi uljhi rahi
kashmakash meñ zindagī uljhī rahī
āñsuoñ se har ḳhushī uljhī rahī
dil kā rishta mustaqil ġham ban gayā
dostī se dushmanī uljhī rahī
ab vo āñkheñ band ho jaane ko haiñ
aas jin meñ āḳhirī uljhī rahī
fan havas-kāroñ meñ aa kar luT gayā
ghuñghruoñ se naġhmagī uljhī rahī
jaam āñkhoñ ke chhalakte rah ga.e
sāġharoñ se mai-kashī uljhī rahī
vo to ai 'nasrīn' ruḳhsat ho gayā
mujh se merī shā.irī uljhī rahī
kashmakash mein zindagi uljhi rahi
aansuon se har KHushi uljhi rahi
dil ka rishta mustaqil gham ban gaya
dosti se dushmani uljhi rahi
ab wo aankhen band ho jaane ko hain
aas jin mein aaKHiri uljhi rahi
fan hawas-karon mein aa kar luT gaya
ghunghruon se naghmagi uljhi rahi
jam aankhon ke chhalakte rah gae
sagharon se mai-kashi uljhi rahi
wo to ai 'nasrin' ruKHsat ho gaya
mujh se meri shairi uljhi rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.