kashmakash yun to musalsal hi zamane se rahi
kashmakash yun to musalsal hi zamane se rahi
Anjum Fauqi Badayuni
MORE BYAnjum Fauqi Badayuni
kashmakash yuuñ to musalsal hī zamāne se rahī
aap ke ahd meñ kuchh aur bahāne se rahī
zindagī dard kā me.aar baḌhāne se rahī
ham na ro.eñ to hañsī ġhair ko aane se rahī
ḳhud hī kuchh ḳhuun jalāo ki ujālā ho jaa.e
sham.a to ḳhāna-e-be-nūr tak aane se rahī
sabr vāloñ kī zabāñ vaqt bhī ban jaatā hai
merī īzā-talabī baat baḌhāne se rahī
be-jhijak rang uchhāleñ chamanistāñ vaale
ġham-nasīboñ kī ḳhabar lauT ke aane se rahī
ham to barbād-e-nasheman hue lekin sayyād
ḳhud chaman kī bhī koī chiiz Thikāne se rahī
sāhab-e-vaqt ġharīboñ se khaTaktā kyoñ hai
muflisī tāj-e-mah-o-mehr to paane se rahī
aap kitne hī parastār-e-vafā hoñ 'anjum'
zindagī aap ko mahbūb banāne se rahī
kashmakash yun to musalsal hi zamane se rahi
aap ke ahd mein kuchh aur bahane se rahi
zindagi dard ka mear baDhane se rahi
hum na roen to hansi ghair ko aane se rahi
KHud hi kuchh KHun jalao ki ujala ho jae
shama to KHana-e-be-nur tak aane se rahi
sabr walon ki zaban waqt bhi ban jata hai
meri iza-talabi baat baDhane se rahi
be-jhijak rang uchhaalen chamanistan wale
gham-nasibon ki KHabar lauT ke aane se rahi
hum to barbaad-e-nasheman hue lekin sayyaad
KHud chaman ki bhi koi chiz Thikane se rahi
sahab-e-waqt gharibon se khaTakta kyon hai
muflisi taj-e-mah-o-mehr to pane se rahi
aap kitne hi parastar-e-wafa hon 'anjum'
zindagi aap ko mahbub banane se rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.