kashti-hawas hawaon ke ruKH par utar de
kashtī-havas havāoñ ke ruḳh par utaar de
kho.e ho.uuñ se mil ye daladdar utaar de
be-samt kī uḌaan hai shoḳhī shabāb kī
us chhat pe aaj tū ye kabūtar utaar de
maiñ itnā bad-ma.āsh nahīñ ya.anī khul ke baiTh
chubhne lagī hai dhuup sweater utaar de
din-rāt yuuñ na ḳhauf kā gaTThar uThā.e phir
ye bojh apne sar se jhaTak kar utaar de
us kī hī āb-o-tāb se raushan ho reg-e-dil
ye teġh mere siine ke andar utaar de
chehre se jhaaḌ pichhle baras kī kudūrateñ
dīvār se purānā calendar utaar de
ye baat zarf kī nahīñ hai māvarā-e-zarf
chāhe to is kueñ meñ samundar utaar de
logoñ ke saath merī laḌā.ī hai āj-kal
behtar hai mujh ko shahr se bāhar utaar de
tū ḳhud to saat pardoñ meñ mastūr hai 'zafar'
malbūs tere aage vo kyūñkar utaar de
kashti-hawas hawaon ke ruKH par utar de
khoe houn se mil ye daladdar utar de
be-samt ki uDan hai shoKHi shabab ki
us chhat pe aaj tu ye kabutar utar de
main itna bad-maash nahin yani khul ke baiTh
chubhne lagi hai dhup sweater utar de
din-raat yun na KHauf ka gaTThar uThae phir
ye bojh apne sar se jhaTak kar utar de
us ki hi aab-o-tab se raushan ho reg-e-dil
ye tegh mere sine ke andar utar de
chehre se jhaD pichhle baras ki kuduraten
diwar se purana calendar utar de
ye baat zarf ki nahin hai mawara-e-zarf
chahe to is kuen mein samundar utar de
logon ke sath meri laDai hai aaj-kal
behtar hai mujh ko shahr se bahar utar de
tu KHud to sat pardon mein mastur hai 'zafar'
malbus tere aage wo kyunkar utar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.