kashti ko kinare pe Dubona nahin aata
kashtī ko kināre pe Dubonā nahīñ aatā
jo jiit chuke haiñ use khonā nahīñ aatā
ye kaun sī manzil hai ḳhudā jaane junūñ kī
ab koī bhī dukh ho hameñ ronā nahīñ aatā
kāñdhoñ pe hamāre hī rahā ishq salāmat
ye bojh kisī aur ko Dhonā nahīñ aatā
tab zehn meñ aatī hai koī us ke baġhāvat
jab haath meñ bachche ke khilaunā nahīñ aatā
vo shaḳhs kahāñ jaa.e mirī jaan ki jis ko
juz tere kisī aur kā honā nahīñ aatā
kashti ko kinare pe Dubona nahin aata
jo jit chuke hain use khona nahin aata
ye kaun si manzil hai KHuda jaane junun ki
ab koi bhi dukh ho hamein rona nahin aata
kandhon pe hamare hi raha ishq salamat
ye bojh kisi aur ko Dhona nahin aata
tab zehn mein aati hai koi us ke baghawat
jab hath mein bachche ke khilauna nahin aata
wo shaKHs kahan jae meri jaan ki jis ko
juz tere kisi aur ka hona nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.