kashti rawan-dawan thi samundar khula hua
kashtī ravāñ-davāñ thī samundar khulā huā
āñkhoñ meñ bas gayā hai vo manzar khulā huā
bistar thā ek jism the do ḳhvāhisheñ hazār
donoñ ke darmiyān thā ḳhanjar khulā huā
uljhā hī jā rahā huuñ maiñ galiyoñ ke jaal meñ
kab se hai intizār meñ ik ghar khulā huā
ik harf-e-mudda.ā thā so vo bhī dabī zabān
ilzām de rahā hai sitamgar khulā huā
sahrā-navard shahr kī saḌkoñ par aa ga.e
chehre pe gard ābla-pā sar khulā huā
kashti rawan-dawan thi samundar khula hua
aankhon mein bas gaya hai wo manzar khula hua
bistar tha ek jism the do KHwahishen hazar
donon ke darmiyan tha KHanjar khula hua
uljha hi ja raha hun main galiyon ke jal mein
kab se hai intizar mein ek ghar khula hua
ek harf-e-muddaa tha so wo bhi dabi zaban
ilzam de raha hai sitamgar khula hua
sahra-naward shahr ki saDkon par aa gae
chehre pe gard aabla-pa sar khula hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.