kashti rawan hai aur jasarat safar ki hai
kashtī ravāñ hai aur jasārat safar kī hai
maujoñ meñ bekalī kisī taaza bhañvar kī hai
ġhuncha kalī bahār kiran sab haiñ mujh meñ gum
lekin talāsh mujh ko jahān-e-digar kī hai
nikle haiñ us kī khoj meñ jis kā pata nahīñ
ye kaifiyat anokhī hamāre safar kī hai
shahr-e-havas ko ab bhī mirā intizār hai
mere junūñ ko chaah tire sang-e-dar kī hai
ham fāsloñ kī bandisheñ toḌeñ to kis tarah
manzil jo be-nishān hamāre safar kī hai
din raushnī sameT ke sūraj ko de chukā
tāroñ ko fikr phir bhī numūd-e-sahar kī hai
kashti rawan hai aur jasarat safar ki hai
maujon mein bekali kisi taza bhanwar ki hai
ghuncha kali bahaar kiran sab hain mujh mein gum
lekin talash mujh ko jahan-e-digar ki hai
nikle hain us ki khoj mein jis ka pata nahin
ye kaifiyat anokhi hamare safar ki hai
shahr-e-hawas ko ab bhi mera intizar hai
mere junun ko chah tere sang-e-dar ki hai
hum faslon ki bandishen toDen to kis tarah
manzil jo be-nishan hamare safar ki hai
din raushni sameT ke suraj ko de chuka
taron ko fikr phir bhi numud-e-sahar ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.