kashtiyan uski baadban us ka
kashtiyāñ us kī bādbāñ us kā
hai havāoñ ko imtihāñ us kā
vo jo lamha abhī nahīñ aayā
vasl meñ ḳhauf darmiyāñ us kā
vo parinda hai lauT aa.egā
is zamīñ par hai āshiyāñ us kā
vo mirī tarah soch kar dekhe
merī tanhā.ī hai ziyāñ us kā
qariya-e-jāñ mahak mahak uTThā
kyā tasavvur hai gul-fishāñ us kā
ek ik harf hai mirī taḳhlīq
naam hai zeb-e-dāstāñ us kā
kashtiyan us ki baadban us ka
hai hawaon ko imtihan us ka
wo jo lamha abhi nahin aaya
wasl mein KHauf darmiyan us ka
wo parinda hai lauT aaega
is zamin par hai aashiyan us ka
wo meri tarah soch kar dekhe
meri tanhai hai ziyan us ka
qariya-e-jaan mahak mahak uTTha
kya tasawwur hai gul-fishan us ka
ek ek harf hai meri taKHliq
nam hai zeb-e-dastan us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.