Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kasrat se dagh hain jo gham-e-ishq-e-Khaal mein

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

kasrat se dagh hain jo gham-e-ishq-e-Khaal mein

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    kasrat se daaġh haiñ jo ġham-e-ishq-e-ḳhāl meñ

    til bhar jagah nahīñ hai dil-e-pur-malāl meñ

    ifshā-e-rāz-e-ishq jo ashkoñ ne kar diyā

    Duubā huā hai dil araq-e-infi.āl meñ

    rahtī nahīñ hai zulf-e-pareshāñ banāv se

    bikhrī hai is liye ki phañse koī jaal meñ

    ai jaan dil ke gor-e-ġharībāñ meñ aa.iye

    sab ārzūeñ dafn haiñ gard-e-malāl meñ

    dil ko jo yād-e-jalva-e-āriz hai dam-ba-dam

    raushan hai sham-e-husn makān-e-ḳhayāl meñ

    kyā dil dukhāoge jo maza dard nahīñ

    dam bhar to baiTho aa ke dil-e-pur-malāl meñ

    ham ko hujūm-e-ġham bhī ġhanīmat huā 'nazar'

    sab aib dil ke chhup ga.e gard-e-malāl meñ

    kasrat se dagh hain jo gham-e-ishq-e-KHal mein

    til bhar jagah nahin hai dil-e-pur-malal mein

    ifsha-e-raaz-e-ishq jo ashkon ne kar diya

    Duba hua hai dil araq-e-infial mein

    rahti nahin hai zulf-e-pareshan banaw se

    bikhri hai is liye ki phanse koi jal mein

    ai jaan dil ke gor-e-ghariban mein aaiye

    sab aarzuen dafn hain gard-e-malal mein

    dil ko jo yaad-e-jalwa-e-ariz hai dam-ba-dam

    raushan hai sham-e-husn makan-e-KHayal mein

    kya dil dukhaoge jo maza dard ka nahin

    dam bhar to baiTho aa ke dil-e-pur-malal mein

    hum ko hujum-e-gham bhi ghanimat hua 'nazar'

    sab aib dil ke chhup gae gard-e-malal mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now