kaT chuka jangal magar zid par aDi hai
kaT chukā jangal magar zid par aḌī hai
ek chiḌiyā ghoñsla le kar khaḌī hai
aise udhḌā hai badan sūkhī nadī kā
jaise koī laash lā-vāris paḌī hai
kho diyā sab taap bādal se lipaT kar
dhuup bhī kis kī mohabbat meñ paḌī hai
is mahal ke sāmne kyoñ ruk ga.e tum
sau qadam aage vo apnī jhoñpḌī hai
yaad rakh ham ek chhāte ke tale haiñ
bhuul jā rim-jhim hai uupar yā jhaḌī hai
bīndh rakkhā thā tumhārā chitr jis ne
kiil vo dīvār meñ ab bhī gaḌī hai
aadhī ābādī hai bhaḌkī him-nadī sī
ab kināre Duub jaane kī ghaḌī hai
kaT chuka jangal magar zid par aDi hai
ek chiDiya ghonsla le kar khaDi hai
aise udhDa hai badan sukhi nadi ka
jaise koi lash la-waris paDi hai
kho diya sab tap baadal se lipaT kar
dhup bhi kis ki mohabbat mein paDi hai
is mahal ke samne kyon ruk gae tum
sau qadam aage wo apni jhonpDi hai
yaad rakh hum ek chhate ke tale hain
bhul ja rim-jhim hai upar ya jhaDi hai
bindh rakkha tha tumhaara chitr jis ne
kil wo diwar mein ab bhi gaDi hai
aadhi aabaadi hai bhaDki him-nadi si
ab kinare Dub jaane ki ghaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.