kaTega kaise KHayalon ka ye safar tanha
kaTegā kaise ḳhayāloñ kā ye safar tanhā
udaas shaam hai ḳhvāboñ kī rahguzar tanhā
talāsh hai ki ta.āqub hai sabz pattoñ kā
bhaTak rahī haiñ havā.eñ shajar shajar tanhā
jo chhā ga.e the in āñkhoñ meñ tere jaane se
vo abr TuuT ke barse haiñ rāt-bhar tanhā
huī jo shaam to yādoñ ne rāsta na diyā
tamām din thī ḳhayāloñ kī rahguzar tanhā
jo apnī zaat se kal ek anjuman thā 'nasīm'
milā hai aaj vahī shaḳhs kis qadar tanhā
kaTega kaise KHayalon ka ye safar tanha
udas sham hai KHwabon ki rahguzar tanha
talash hai ki taaqub hai sabz patton ka
bhaTak rahi hain hawaen shajar shajar tanha
jo chha gae the in aankhon mein tere jaane se
wo abr TuT ke barse hain raat-bhar tanha
hui jo sham to yaadon ne rasta na diya
tamam din thi KHayalon ki rahguzar tanha
jo apni zat se kal ek anjuman tha 'nasim'
mila hai aaj wahi shaKHs kis qadar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.