kaThin hone ko hai jo shauq ka har marhala sahab
kaThin hone ko hai jo shauq kā har marhala sāhab
zarā socheñ ki lāhaq kyā hai ham ko āriza sāhab
kisī bhī jhuuT par chup sādhnā merā huā mushkil
yahī mushkil hai merī aur merā mas.ala sāhab
sunā.ūñ qissa kyā maiñ hazrat-e-insān kā pal meñ
bahut sadiyoñ kā hai aur hai qadīmī vāqi.a sāhab
merā matlab unhī se jo havas ke bas pujārī haiñ
nahīñ un se hamārā duur kā bhī vāsta sāhab
kisī manzil kisī raste pe koī dosh hī kab hai
hai luuTā rahbaroñ ne bas hamārā qāfila sāhab
kaThin hone ko hai jo shauq ka har marhala sahab
zara sochen ki lahaq kya hai hum ko aariza sahab
kisi bhi jhuT par chup sadhna mera hua mushkil
yahi mushkil hai meri aur mera masala sahab
sunaun qissa kya main hazrat-e-insan ka pal mein
bahut sadiyon ka hai aur hai qadimi waqia sahab
mera matlab unhi se jo hawas ke bas pujari hain
nahin un se hamara dur ka bhi wasta sahab
kisi manzil kisi raste pe koi dosh hi kab hai
hai luTa rahbaron ne bas hamara qafila sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.