kaTi hai umr hamari baDe azab ke sath
kaTī hai umr hamārī baḌe azaab ke saath
tumhārī yaad ke aañsū piye sharāb ke saath
jo āsmān se utrī hai rahbarī ke liye
vafā.eñ kī haiñ kabhī tum ne us kitāb ke saath
isī liye to javānī meñ sar jhukā ki terā
shabāb-e-husn bhī shāmil rahe savāb ke saath
chamakne vaalī kisī shai kā e.atibār nahīñ
diyā to ham bhī jalāte haiñ māhtāb ke saath
hamārī aañkh ke parde bhī bā-hayā hoñge
nazar uThe to nazar aa.eñ sab hijāb ke saath
banī hai jashn-e-bahārāñ meñ qatl-e-gul kī fazā
hameñ bhī rahnā paḌegā baḌe hisāb ke saath
kaTi hai umr hamari baDe azab ke sath
tumhaari yaad ke aansu piye sharab ke sath
jo aasman se utri hai rahbari ke liye
wafaen ki hain kabhi tum ne us kitab ke sath
isi liye to jawani mein sar jhuka ki tera
shabab-e-husn bhi shamil rahe sawab ke sath
chamakne wali kisi shai ka eatibar nahin
diya to hum bhi jalate hain mahtab ke sath
hamari aankh ke parde bhi ba-haya honge
nazar uThe to nazar aaen sab hijab ke sath
bani hai jashn-e-bahaaran mein qatl-e-gul ki faza
hamein bhi rahna paDega baDe hisab ke sath
- Book : حاشیےمیں نیکیاں (Pg. 26)
- Author : عرفانؔ شاہ نوری
- Publication : الفاظ پبلی کیشن، کامٹی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.