kaTi patang hun main aur be-sahaara hun
kaTī patañg huuñ maiñ aur be-sahārā huuñ
mujhe kahā nahīñ us ne ki maiñ tumhārā huuñ
ye mujh meñ ātish-e-be-soz jaltī rahtī hai
maiñ raushnī huuñ maiñ jugnū huuñ isti.āra huuñ
tire husūl kī gardish meñ kho ga.ī huuñ maiñ
mujhe batā ki maiñ zarra huuñ yā sitārā huuñ
maiñ ek qatra-e-shabnam huuñ dīda-var ke liye
jo kaj-nigāh haiñ un ke liye sharāra huuñ
maiñ ek umr se buntī huuñ ḳhvāb chāhat ke
hisār-e-dīda-e-nam-nāk meñ ḳhasāra huuñ
kaTi patang hun main aur be-sahaara hun
mujhe kaha nahin us ne ki main tumhaara hun
ye mujh mein aatish-e-be-soz jalti rahti hai
main raushni hun main jugnu hun istiara hun
tere husul ki gardish mein kho gai hun main
mujhe bata ki main zarra hun ya sitara hun
main ek qatra-e-shabnam hun dida-war ke liye
jo kaj-nigah hain un ke liye sharara hun
main ek umr se bunti hun KHwab chahat ke
hisar-e-dida-e-nam-nak mein KHasara hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.