katra ke zindagi se guzar jaun kya karun
katrā ke zindagī se guzar jā.ūñ kyā karūñ
rusvā.iyoñ ke ḳhauf se mar jā.ūñ kyā karūñ
maiñ kyā karūñ ki terī anā ko sukūñ mile
gir jā.ūñ TuuT jā.ūñ bikhar jā.ūñ kyā karūñ
phir aa ke lag rahe haiñ paroñ par havā ke tiir
parvāz apnī rok luuñ Dar jā.ūñ kyā karūñ
jañgal meñ be-amān sī baiThī huī huuñ maiñ
āvāz kis ko duuñ maiñ kidhar jā.ūñ kyā karūñ
kyā hukm aap kā hai mire vāste huzūr
jaarī safar rakhūñ ki Thahar jā.ūñ kyā karūñ
kab tak sunūñ bahār meñ ḳhushbū kī dastakeñ
kyoñ ai ġham-e-hayāt sañvar jā.ūñ kyā karūñ
katra ke zindagi se guzar jaun kya karun
ruswaiyon ke KHauf se mar jaun kya karun
main kya karun ki teri ana ko sukun mile
gir jaun TuT jaun bikhar jaun kya karun
phir aa ke lag rahe hain paron par hawa ke tir
parwaz apni rok lun Dar jaun kya karun
jangal mein be-aman si baiThi hui hun main
aawaz kis ko dun main kidhar jaun kya karun
kya hukm aap ka hai mere waste huzur
jari safar rakhun ki Thahar jaun kya karun
kab tak sunun bahaar mein KHushbu ki dastaken
kyon ai gham-e-hayat sanwar jaun kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.