kaTti hai koi dam yahin auqat maze ki
kaTtī hai koī dam yahīñ auqāt maze kī
duniyā meñ ajab jā hai ḳharābāt maze kī
kahtā hai mubārak koī kahtā hai salāmat
hai ruuTh ke milnā bhī mulāqāt maze kī
aage to ye chup-chāp kā mazkūr nahīñ thā
hotī thī ka.ī Dhab se ināyāt maze kī
buuma hai na gaalī hai na chashmak-zadanī hai
kyā hai jo nahīñ aaj ishārāt maze kī
hone de ḳhayāl us kā 'nisār' aur taraf Tuk
bose kī lagā rakkhī hai maiñ ghaat maze kī
kaTti hai koi dam yahin auqat maze ki
duniya mein ajab ja hai KHarabaat maze ki
kahta hai mubarak koi kahta hai salamat
hai ruTh ke milna bhi mulaqat maze ki
aage to ye chup-chap ka mazkur nahin tha
hoti thi kai Dhab se inayat maze ki
buma hai na gali hai na chashmak-zadani hai
kya hai jo nahin aaj ishaaraat maze ki
hone de KHayal us ka 'nisar' aur taraf Tuk
bose ki laga rakkhi hai main ghat maze ki
- Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.