kaun ab dekhe falak tera qamar aaj ki raat
kaun ab dekhe falak terā qamar aaj kī raat
un ke ruḳh se hī nahīñ haTtī nazar aaj kī raat
aap rah rah ke mirī samt na dekho varna
sab ko ho jā.egī ulfat kī ḳhabar aaj kī raat
bad-gumāñ un ko kahīñ kar na deñ ahbāb mire
lag rahā hai mujhe is baat kā Dar aaj kī raat
un kī rusvā.ī kā hotā na agar ḳhauf mujhe
maiñ had-e-ishq se bhī jaatā guzar aaj kī raat
ḳhuun ho jā.egā barsoñ ke yaqīn-e-dil kā
kar ke va.ada na tū lillāh mukar aaj kī raat
sajda maqbūl ho yā ho na ġharaz kyā is se
rakh diyā yaar kī dahlīz pe sar aaj kī raat
baa'd muddat milī 'tasdīq' hameñ tanhā.ī
mā-sivā pyaar koī baat na kar aaj kī raat
kaun ab dekhe falak tera qamar aaj ki raat
un ke ruKH se hi nahin haTti nazar aaj ki raat
aap rah rah ke meri samt na dekho warna
sab ko ho jaegi ulfat ki KHabar aaj ki raat
bad-guman un ko kahin kar na den ahbab mere
lag raha hai mujhe is baat ka Dar aaj ki raat
un ki ruswai ka hota na agar KHauf mujhe
main had-e-ishq se bhi jata guzar aaj ki raat
KHun ho jaega barson ke yaqin-e-dil ka
kar ke wada na tu lillah mukar aaj ki raat
sajda maqbul ho ya ho na gharaz kya is se
rakh diya yar ki dahliz pe sar aaj ki raat
ba'd muddat mili 'tasdiq' hamein tanhai
ma-siwa pyar koi baat na kar aaj ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.