kaun ab unki anjuman mein nahin
kaun ab un kī anjuman meñ nahīñ
chup haiñ jaise zabāñ dahan meñ nahīñ
apne aabā meñ thī ravādārī
ab vo mere tire chalan meñ nahīñ
māl-o-zar ko kahāñ chhupāoge
jeb jab aap ke kafan meñ nahīñ
do ghaḌī kā sukūñ ḳharīd sake
aisī tāqat tumhāre dhan meñ nahīñ
sabr kā phal kahāñ milegā tujhe
sabr kā peḌ hī chaman meñ nahīñ
baat jo haq kī barmalā kah de
vo zabāñ hī kisī dahan meñ nahīñ
jis ko bū-e-vafā bhī kahte the
vaisī ḳhushbū to ab vatan meñ nahīñ
ham hunar kah sakeñ jise yaaro
ham meñ hai vo hamāre fan meñ nahīñ
ab to apne ta.iiñ bhī ai 'rāhat'
koī ranjish hamāre man meñ nahīñ
kaun ab un ki anjuman mein nahin
chup hain jaise zaban dahan mein nahin
apne aaba mein thi rawadari
ab wo mere tere chalan mein nahin
mal-o-zar ko kahan chhupaoge
jeb jab aap ke kafan mein nahin
do ghaDi ka sukun KHarid sake
aisi taqat tumhaare dhan mein nahin
sabr ka phal kahan milega tujhe
sabr ka peD hi chaman mein nahin
baat jo haq ki barmala kah de
wo zaban hi kisi dahan mein nahin
jis ko bu-e-wafa bhi kahte the
waisi KHushbu to ab watan mein nahin
hum hunar kah saken jise yaro
hum mein hai wo hamare fan mein nahin
ab to apne tain bhi ai 'rahat'
koi ranjish hamare man mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.