kaun aisa hai kahe tabir jo
kaun aisā hai kahe tā'bīr jo
ḳhvāb meñ dekhī hai ik zanjīr jo
zindagī rangīn sī lagne lagī
sāmne rakkhī tirī tasvīr jo
haa.e mumkin hī kahāñ batlā sakūñ
aap ke chhūne meñ hai tāsīr jo
naam zinda rah ga.e un ke sadā
haiñ diloñ ko kar ga.e tasḳhīr jo
vo qalam kī shaan se vāqif nahīñ
haath meñ rakkhā kare shamshīr jo
jism kyā hai ruuh ghāyal kar gayā
terī jānib se hai aayā tiir jo
hai koī 'ambar' yahāñ chehra-shanās
mere chehre se paḌhe tahrīr jo
kaun aisa hai kahe ta'bir jo
KHwab mein dekhi hai ek zanjir jo
zindagi rangin si lagne lagi
samne rakkhi teri taswir jo
hae mumkin hi kahan batla sakun
aap ke chhune mein hai tasir jo
nam zinda rah gae un ke sada
hain dilon ko kar gae tasKHir jo
wo qalam ki shan se waqif nahin
hath mein rakkha kare shamshir jo
jism kya hai ruh ghayal kar gaya
teri jaanib se hai aaya tir jo
hai koi 'ambar' yahan chehra-shanas
mere chehre se paDhe tahrir jo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.