kaun apna hai aur paraya hai
kaun apnā hai aur parāyā hai
ab ye apnī samajh meñ aayā hai
dhuup kā tai kiyā safar barsoñ
tab kahīñ mere paas saayā hai
pattharoñ kā hai shahr aur tum ne
is meñ shīshe kā ghar banāyā hai
vo lagā hai mujhe girāne meñ
maiñ ne chalnā jise sikhāyā hai
kar ke ehsān ham to bhuul ga.e
kar ke ehsāñ kahāñ jatāyā hai
manzil-e-'ishq ke musāfir ne
koī to pūchhe kyā gañvāyā hai
dil kā āñgan mahak uThā 'yāsīn'
kaun mehmān ban ke aayā hai
kaun apna hai aur paraya hai
ab ye apni samajh mein aaya hai
dhup ka tai kiya safar barson
tab kahin mere pas saya hai
pattharon ka hai shahr aur tum ne
is mein shishe ka ghar banaya hai
wo laga hai mujhe girane mein
main ne chalna jise sikhaya hai
kar ke ehsan hum to bhul gae
kar ke ehsan kahan jataya hai
manzil-e-'ishq ke musafir ne
koi to puchhe kya ganwaya hai
dil ka aangan mahak uTha 'yasin'
kaun mehman ban ke aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.