kaun atha mein utre meri kis pe khule hangam mera
kaun athā meñ utre merī kis pe khule hañgām mirā
ashk se kaise bhāñp sakoge ḳhuun meñ hai kohrām mirā
koī to saa.at guzre jis meñ do tahzībeñ vasl kareñ
khīñch luuñ maiñ zunnār badan par bāñdh le tū ehrām mirā
bach ke kahāñ jāoge āḳhir tum itne chālāk nahīñ
dasht ke chappe chappe par to bichhā huā hai daam mirā
hare-bhare insān ko kaise hijr kī aag ne zard kiyā
ab bhī ishq karegā pyāre dekh to le anjām mirā
aayā huuñ bāzār meñ bikne maiñ ḳhud apnī marzī se
varna kis meñ dam hai itnā kaun lagā.e daam mirā
niiñd kī ye imdād hamesha ishq meñ pahuñchānā mujh ko
aañkh na ho tujh husn se ḳhālī ḳhvāb na ho nākām mirā
sab ne zabāñ pe vird kī sūrat mere sher sajā.e haiñ
kaan lagā kar sun le har sū guuñj rahā hai naam mirā
jaane kis ke ḳhauf se ghar par vahshat taarī rahtī hai
kaañp rahī hai saqf musalsal laraz rahā hai baam mirā
chhoḌ guzishta ahd kī bāteñ kaun marā aur kaun jiyā
mujh se mil maiñ ahd-e-ravāñ huuñ aurañgzeb hai naam mirā
kaun atha mein utre meri kis pe khule hangam mera
ashk se kaise bhanp sakoge KHun mein hai kohram mera
koi to saat guzre jis mein do tahziben wasl karen
khinch lun main zunnar badan par bandh le tu ehram mera
bach ke kahan jaoge aaKHir tum itne chaalak nahin
dasht ke chappe chappe par to bichha hua hai dam mera
hare-bhare insan ko kaise hijr ki aag ne zard kiya
ab bhi ishq karega pyare dekh to le anjam mera
aaya hun bazar mein bikne main KHud apni marzi se
warna kis mein dam hai itna kaun lagae dam mera
nind ki ye imdad hamesha ishq mein pahunchana mujh ko
aankh na ho tujh husn se KHali KHwab na ho nakaam mera
sab ne zaban pe wird ki surat mere sher sajae hain
kan laga kar sun le har su gunj raha hai nam mera
jaane kis ke KHauf se ghar par wahshat tari rahti hai
kanp rahi hai saqf musalsal laraz raha hai baam mera
chhoD guzishta ahd ki baaten kaun mara aur kaun jiya
mujh se mil main ahd-e-rawan hun aurangzeb hai nam mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.