kaun barham hai zulf-e-jaanan se
kaun barham hai zulf-e-jānāñ se
tañg huuñ ḳhātir-e-pareshāñ se
muzhda ai ḳhār-e-dasht dast-e-junūñ
guzre ham dāman o garebāñ se
daañt kis kā hai jaam par saaqī
mai Tapaktī hai abr-e-naisāñ se
gar yahī rañg hai zamāne kā
baaz aayā maiñ kufr o īmāñ se
baiTh jaatā hai aa ke mere paas
jo nikaltā hai bazm-e-jānāñ se
huur āshiq-navāz hai koī
pahle pūchheñge ham ye rizvāñ se
kaun barham hai zulf-e-jaanan se
tang hun KHatir-e-pareshan se
muzhda ai KHar-e-dasht dast-e-junun
guzre hum daman o gareban se
dant kis ka hai jam par saqi
mai Tapakti hai abr-e-naisan se
gar yahi rang hai zamane ka
baz aaya main kufr o iman se
baiTh jata hai aa ke mere pas
jo nikalta hai bazm-e-jaanan se
hur aashiq-nawaz hai koi
pahle puchhenge hum ye rizwan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.