kaun bhalā hai kaun burā hai
aa.ina sab ko dekh rahā hai
chhupne vaale tujh ko pata hai
ahl-e-nazar ne dekh liyā hai
chand shahīd-e-nāz tumhāre
varna mar ke kaun jiyā hai
dekh ke merā ālam-e-hairat
aa.ina us ne toḌ diyā hai
jab se maiñ chup huuñ mohr-ba-lab huuñ
zarra-zarra bol rahā hai
khel nahīñ hai hosh meñ rahnā
hosh gañvā kar dars milā hai
kaan haiñ aadī āh-o-fuġhāñ ke
dil kā ronā kis ne sunā hai
kaun bhala hai kaun bura hai
aaina sab ko dekh raha hai
chhupne wale tujh ko pata hai
ahl-e-nazar ne dekh liya hai
chand shahid-e-naz tumhaare
warna mar ke kaun jiya hai
dekh ke mera aalam-e-hairat
aaina us ne toD diya hai
jab se main chup hun mohr-ba-lab hun
zarra-zarra bol raha hai
khel nahin hai hosh mein rahna
hosh ganwa kar dars mila hai
kan hain aadi aah-o-fughan ke
dil ka rona kis ne suna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.