kaun bhanwar mein mallahon se ab takrar karega
kaun bhañvar meñ mallāhoñ se ab takrār karegā
ab to qismat se hī koī dariyā paar karegā
saarā shahr hī tārīkī par yuuñ ḳhāmosh rahā to
kaun charāġh jalāne ke paidā āsār karegā
jab us kā kirdār tumhāre sach kī zad meñ aayā
likhne vaalā shahr kī kaalī har dīvār karegā
jaane kaun sī dhun meñ tere shahr meñ aa nikle haiñ
dil tujh se milne kī ḳhvāhish ab sau baar karegā
dil meñ terā qayām thā lekin ab ye kise ḳhabar thī
dukh bhī apne hone par itnā isrār karegā
kaun bhanwar mein mallahon se ab takrar karega
ab to qismat se hi koi dariya par karega
sara shahr hi tariki par yun KHamosh raha to
kaun charagh jalane ke paida aasar karega
jab us ka kirdar tumhaare sach ki zad mein aaya
likhne wala shahr ki kali har diwar karega
jaane kaun si dhun mein tere shahr mein aa nikle hain
dil tujh se milne ki KHwahish ab sau bar karega
dil mein tera qayam tha lekin ab ye kise KHabar thi
dukh bhi apne hone par itna israr karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.