kaun chiKHa hai mere jism ke viranon mein
kaun chīḳhā hai mire jism ke vīrānoñ meñ
ek āvāz sī aa.ī hai mire kānoñ meñ
ye tirī sard nigāhī kā asar hai shāyad
dauḌtā phirtā lahū jam gayā shiryānoñ meñ
raushnī kā koī imkān huā hai raushan
ik sharāra koī lahrāyā siyah-ḳhānoñ meñ
mere chehre pe tire chehre ke milte haiñ subūt
ek pahchān hai tū bhī merī pahchānoñ meñ
ḳhushk āñkhoñ meñ abas DhūñD rahe ho aañsū
ye ḳhazāna hai mirī ruuh ke tah-ḳhānoñ meñ
mol miltā hai kyā is jins-e-girāñ kā dekheñ
saj ga.e ham bhī yahī soch ke dūkānoñ meñ
hai ta.ajjub ki charāġhoñ ko tarastā hai vahī
jis ne kal dhuup lagā.ī thī shabistānoñ meñ
varġhalātī rahī rangīnī-e-duniyā 'sālim'
ek halchal sī rahī umr-bhar īmānoñ meñ
kaun chiKHa hai mere jism ke viranon mein
ek aawaz si aai hai mere kanon mein
ye teri sard nigahi ka asar hai shayad
dauDta phirta lahu jam gaya shiryanon mein
raushni ka koi imkan hua hai raushan
ek sharara koi lahraya siyah-KHanon mein
mere chehre pe tere chehre ke milte hain subut
ek pahchan hai tu bhi meri pahchanon mein
KHushk aankhon mein abas DhunD rahe ho aansu
ye KHazana hai meri ruh ke tah-KHanon mein
mol milta hai kya is jins-e-giran ka dekhen
saj gae hum bhi yahi soch ke dukanon mein
hai tajjub ki charaghon ko tarasta hai wahi
jis ne kal dhup lagai thi shabistanon mein
warghalati rahi rangini-e-duniya 'salim'
ek halchal si rahi umr-bhar imanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.