kaun chun ke chunaw mein aaya
kaun chun ke chunāv meñ aayā
bachcha bachcha tanāv meñ aayā
nafrateñ ḳhuun meñ ghulī jab se
rishta rishta khiñchāv meñ aayā
ab kisī ko kisī se kyā matlab
har koī bhed-bhāv meñ aayā
bikhrī bikhrī thī shaḳhsiyat merī
tum mile rakh-rakhāv meñ aayā
sahmā sahmā sā mujh se rahtā hai
jaane kis ke dabāv meñ aayā
merī tārīf sunte hī 'kashfī'
kyā huā kyoñ vo taav meñ aayā
kaun chun ke chunaw mein aaya
bachcha bachcha tanaw mein aaya
nafraten KHun mein ghuli jab se
rishta rishta khinchaw mein aaya
ab kisi ko kisi se kya matlab
har koi bhed-bhaw mein aaya
bikhri bikhri thi shaKHsiyat meri
tum mile rakh-rakhaw mein aaya
sahma sahma sa mujh se rahta hai
jaane kis ke dabaw mein aaya
meri tarif sunte hi 'kashfi'
kya hua kyon wo taw mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.