kaun dega tere kuche mein sada mere baad
kaun degā tire kūche meñ sadā mere baa'd
sar ko paTḳhegī tire dar pe havā mere baa'd
jo bhī kahnā hai vo kah de dam-e-ruḳhsat zālim
rah na jaa.e tire hoñToñ pe gila mere baa'd
ab yahī soch ke maiñ zabt kiye baiThā huuñ
kyā kisī aañkh se barsegī ghaTā mere baa'd
shāḳh-e-larzīda se pattoñ ke bichhaḌne kā samāñ
kaun dekhegā tamāshā ye bhalā mere baa'd
mere to vahm-o-gumāñ meñ bhī nahīñ thā ye 'munīr'
ḳhud se ho jā.egā vo shaḳhs judā mere baa'd
kaun dega tere kuche mein sada mere ba'd
sar ko paTKHegi tere dar pe hawa mere ba'd
jo bhi kahna hai wo kah de dam-e-ruKHsat zalim
rah na jae tere honTon pe gila mere ba'd
ab yahi soch ke main zabt kiye baiTha hun
kya kisi aankh se barsegi ghaTa mere ba'd
shaKH-e-larzida se patton ke bichhaDne ka saman
kaun dekhega tamasha ye bhala mere ba'd
mere to wahm-o-guman mein bhi nahin tha ye 'munir'
KHud se ho jaega wo shaKHs juda mere ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.