kaun dil ka dard pahchane kise aawaz den
kaun dil kā dard pahchāne kise āvāz deñ
sochte rahte haiñ dīvāne kise āvāz deñ
ik taraf andhoñ kī bastī ik taraf patthar ke log
dekhiye ab ā.ina-ḳhāne kise āvāz deñ
duur tak ummīd kī koī kiran baaqī nahīñ
ho chuke apne bhī begāne kise āvāz deñ
aate aate merī gardan tak to ḳhanjar aa gayā
ab mire qātil ḳhudā jaane kise āvāz deñ
reshmī zulfoñ kā saaya to muqaddar meñ nahīñ
dhuup meñ jalte hue shāne kise āvāz deñ
koī bastī meñ bashar jaisā nazar aatā nahīñ
saḳht uljhan meñ haiñ vīrāne kise āvāz deñ
kaun dil ka dard pahchane kise aawaz den
sochte rahte hain diwane kise aawaz den
ek taraf andhon ki basti ek taraf patthar ke log
dekhiye ab aaina-KHane kise aawaz den
dur tak ummid ki koi kiran baqi nahin
ho chuke apne bhi begane kise aawaz den
aate aate meri gardan tak to KHanjar aa gaya
ab mere qatil KHuda jaane kise aawaz den
reshmi zulfon ka saya to muqaddar mein nahin
dhup mein jalte hue shane kise aawaz den
koi basti mein bashar jaisa nazar aata nahin
saKHt uljhan mein hain virane kise aawaz den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.