kaun gulshan mein rahe nargis-e-hairan ki tarah
kaun gulshan meñ rahe nargis-e-hairāñ kī tarah
aao chamkā deñ use mehr-e-daraḳhshāñ kī tarah
umr bhar rā-navardī kā rahā ham ko junūñ
ḳhār-zāroñ se bhī guzre haiñ gulistāñ kī tarah
taar baaqī haiñ jo do-chār garebāñ meñ mire
TuuT jaa.eñ na kahīñ tār-e-rag-e-jāñ kī tarah
log kahte haiñ ki ho baaġh meñ lekin ham ko
yaañ ki har shai nazar aatī hai bayābāñ kī tarah
zindagī naam hai mar mar ke jiye jaane kā
duur hī ham se raho chashma-e-haivāñ kī tarah
ham ko bhātā hai chaman dil se magar kyā kiije
is meñ ārām nahīñ gosha-e-zindāñ kī tarah
daal galtī nahīñ bastī meñ hamārī 'arshī'
aao vīrāne hī meñ baiTh leñ insāñ kī tarah
kaun gulshan mein rahe nargis-e-hairan ki tarah
aao chamka den use mehr-e-daraKHshan ki tarah
umr bhar ra-nawardi ka raha hum ko junun
KHar-zaron se bhi guzre hain gulistan ki tarah
tar baqi hain jo do-chaar gareban mein mere
TuT jaen na kahin tar-e-rag-e-jaan ki tarah
log kahte hain ki ho bagh mein lekin hum ko
yan ki har shai nazar aati hai bayaban ki tarah
zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka
dur hi hum se raho chashma-e-haiwan ki tarah
hum ko bhata hai chaman dil se magar kya kije
is mein aaram nahin gosha-e-zindan ki tarah
dal galti nahin basti mein hamari 'arshi'
aao virane hi mein baiTh len insan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.