kaun hai apna kaun paraya ye mat puchh
kaun hai apnā kaun parāyā ye mat pūchh
dhoka de jaatā hai saayā ye mat pūchh
hijrat kā dukh dil chhalnī kar detā hai
kaise koh-e-ġham ko uThāyā ye mat pūchh
apnā chehra dekh ke kal maiñ chīḳh uThā
maazī kis ne haal banāyā ye mat pūchh
panjoñ ke bal ūñchā honā Thiik nahīñ
lekin maiñ ne qad kyoñ baḌhāyā ye mat pūchh
saarī yādeñ almārī meñ rakh aaya
saath meñ apne kyā kyā laayā ye mat pūchh
mere chāroñ jānib the ahbāb magar
piiTh pe kis ne tiir chalāyā ye mat pūchh
ḳhud-ġharzī kā daur hai 'zāhid' ye bhī soch
kis ne kis kā saath nibhāyā ye mat pūchh
kaun hai apna kaun paraya ye mat puchh
dhoka de jata hai saya ye mat puchh
hijrat ka dukh dil chhalni kar deta hai
kaise koh-e-gham ko uThaya ye mat puchh
apna chehra dekh ke kal main chiKH uTha
mazi kis ne haal banaya ye mat puchh
panjon ke bal uncha hona Thik nahin
lekin main ne qad kyon baDhaya ye mat puchh
sari yaaden almari mein rakh aaya
sath mein apne kya kya laya ye mat puchh
mere chaaron jaanib the ahbab magar
piTh pe kis ne tir chalaya ye mat puchh
KHud-gharzi ka daur hai 'zahid' ye bhi soch
kis ne kis ka sath nibhaya ye mat puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.