kaun hai bach gaya jo ulfat se
kaun hai bach gayā jo ulfat se
ab ḳhudā hī bachā.e tohmat se
ho ga.ī hai havā bhī zahrīlī
le nahīñ sakte saañs rāhat se
tum mire sāmne raho kuchh vaqt
aañkh bhar dekh luuñ mohabbat se
tū mirī dilbarī bhī dekhegā
aa kabhī mujh ko milne fursat se
muddatoñ saath vo rahā mere
kuchh badaltā nahīñ hai sohbat se
bāñTte haiñ mohabbateñ har samt
apnī bantī nahīñ adāvat se
in se nisbat rakhā kareñ 'afzal'
sant milte haiñ ab ġhanīmat se
kaun hai bach gaya jo ulfat se
ab KHuda hi bachae tohmat se
ho gai hai hawa bhi zahrili
le nahin sakte sans rahat se
tum mere samne raho kuchh waqt
aankh bhar dekh lun mohabbat se
tu meri dilbari bhi dekhega
aa kabhi mujh ko milne fursat se
muddaton sath wo raha mere
kuchh badalta nahin hai sohbat se
banTte hain mohabbaten har samt
apni banti nahin adawat se
in se nisbat rakha karen 'afzal'
sant milte hain ab ghanimat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.