kaun hai jo dard banTe raat ke is pahr mein
kaun hai jo dard banTe raat ke is pahr mein
Mohammad Javed Anwar
MORE BYMohammad Javed Anwar
kaun hai jo dard bāñTe raat ke is pahr meñ
hai koī jo jāgtā ho is samay bhī shahr meñ
bai'at-e-sānī pe maa.il hai mirā ranjūr dil
gar mayassar dūsrā koī ḳhudā ho dahr meñ
shauq se piite haiñ aur rahte haiñ phir ehsānmand
dushmanoñ ne kyā milāyā hai hamāre zahr meñ
qatra qatra yuuñ milāyā us ko dariyā kar diyā
terī yādoñ ne baras kar mere ġham kī nahr meñ
hijr meñ ro.eñ bhalā kaahe jahāñ ābād hai
terī apnī mauj hai aur ham haiñ apnī lahr meñ
merī ḳhāmoshī faqat merī vaz.a-dārī nahīñ
saañs aa paa.e to bolūñ jabr meñ aur qahr meñ
ḳhuuñ mire lafzoñ se Tapkā aur misra ban gayā
go hai mumkin mas.ala ho vazn meñ aur bahr meñ
kaun hai jo dard banTe raat ke is pahr mein
hai koi jo jagta ho is samay bhi shahr mein
bai'at-e-sani pe mail hai mera ranjur dil
gar mayassar dusra koi KHuda ho dahr mein
shauq se pite hain aur rahte hain phir ehsanmand
dushmanon ne kya milaya hai hamare zahr mein
qatra qatra yun milaya us ko dariya kar diya
teri yaadon ne baras kar mere gham ki nahr mein
hijr mein roen bhala kahe jahan aabaad hai
teri apni mauj hai aur hum hain apni lahr mein
meri KHamoshi faqat meri waza-dari nahin
sans aa pae to bolun jabr mein aur qahr mein
KHun mere lafzon se Tapka aur misra ban gaya
go hai mumkin masala ho wazn mein aur bahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.