kaun hai tanha akela main ki tu
kaun hai tanhā akelā maiñ ki tū
aur saare jag meñ rusvā maiñ ki to
pherne vaalā siyāhī chāñd par
aur phir bāhar se ujlā maiñ ki tū
ye jahāñ terī atā maanā magar
kaun hai dil-dāda is kā maiñ ki tū
maut kī chāhat meñ dīvāna hai kaun
zindagī ko karke rusvā maiñ ki tū
ban ke tūfāñ sāhiloñ ke darmiyāñ
phir rahā thā dariyā dariyā maiñ ki tū
but-kade meñ qaid tū āzād maiñ
kaun hai miTTī kā putlā maiñ ki tū
sūrat-e-‘mansūr’ phir āvāz-e-haq
bol-bālā karne vaalā maiñ ki tū
kaun hai tanha akela main ki tu
aur sare jag mein ruswa main ki to
pherne wala siyahi chand par
aur phir bahar se ujla main ki tu
ye jahan teri ata mana magar
kaun hai dil-dada is ka main ki tu
maut ki chahat mein diwana hai kaun
zindagi ko karke ruswa main ki tu
ban ke tufan sahilon ke darmiyan
phir raha tha dariya dariya main ki tu
but-kade mein qaid tu aazad main
kaun hai miTTi ka putla main ki tu
surat-e-‘mansur’ phir aawaz-e-haq
bol-baala karne wala main ki tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.