kaun hai ye matl-e-taKHill par mahtab sa
kaun hai ye matl-e-taḳh.īll par mahtāb sā
merī rag rag meñ bapā hone lagā sailāb sā
aag kī lapToñ meñ hai lipTā huā saarā badan
haDDiyoñ kī nalkiyoñ meñ bhar gayā tezāb sā
ḳhvāhishoñ kī bijliyoñ kī jaltī bujhtī raushnī
khīñchtī hai manzaroñ meñ naqsha-e-āsāb sā
kis bulandī par uḌā jaatā huuñ bar-dosh-e-havā
āsmāñ bhī ab nazar aane lagā pāyāb sā
tairtā hai zehn yuuñ jaise fazā meñ kuchh nahīñ
aur dil siine meñ hai ik māhi-e-be-āb sā
kaun hai ye matl-e-taKHill par mahtab sa
meri rag rag mein bapa hone laga sailab sa
aag ki lapTon mein hai lipTa hua sara badan
haDDiyon ki nalkiyon mein bhar gaya tezab sa
KHwahishon ki bijliyon ki jalti bujhti raushni
khinchti hai manzaron mein naqsha-e-asab sa
kis bulandi par uDa jata hun bar-dosh-e-hawa
aasman bhi ab nazar aane laga payab sa
tairta hai zehn yun jaise faza mein kuchh nahin
aur dil sine mein hai ek mahi-e-be-ab sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.