kaun hai ziya-afgan chand mein sitare mein
kaun hai ziyā-afgan chāñd meñ sitāre meñ
aag kis kī hai raushan barq ke sharāre meñ
jalva-āfrīñ āḳhir ho gayā mire haq meñ
dil kā jazb ho jaanā har hasīñ nazāre meñ
tere ik tabassum se rūh-e-zindagī shādāñ
kaam hai tamām us kā tere ik ishāre meñ
sāmne hai bahr-e-ishq aur hai duā merī
yaar huuñ kināre par yā huuñ tez dhāre meñ
bazm-e-nāz meñ āḳhir baar mil gayā sab ko
kyā huzūr kā farmāñ hai 'tilak' ke baare meñ
kaun hai ziya-afgan chand mein sitare mein
aag kis ki hai raushan barq ke sharare mein
jalwa-afrin aaKHir ho gaya mere haq mein
dil ka jazb ho jaana har hasin nazare mein
tere ek tabassum se ruh-e-zindagi shadan
kaam hai tamam us ka tere ek ishaare mein
samne hai bahr-e-ishq aur hai dua meri
yar hun kinare par ya hun tez dhaare mein
bazm-e-naz mein aaKHir bar mil gaya sab ko
kya huzur ka farman hai 'tilak' ke bare mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.