kaun hoga meri jurat ka badal mere baad
kaun hogā mirī jur.at kā badal mere ba.ad
ḳhatm ho jā.egā har radd-e-amal mere ba.ad
kaun phir merī tarah terā uḌā.egā mazāq
zindagī phir kise baḳhshegī ajal mere ba.ad
'mīr' to 'mīr' thā aur sach hī kahā thā us ne
sar-ba-gardāñ hī rahegī ye ġhazal mere ba.ad
koī qadmoñ se nahīñ rauñdegā daulat un kī
kis se uljheñge ye arbāb-e-duval mere ba.ad
nazm-e-ālam bhī mujhī se maiñ binā-e-ālam
dekhnā aa.egā aalam meñ ḳhalal mere ba.ad
ibn-e-ādam kī jibillat hai anāsir kā fasād
ḳhatm hogī bhī to ye jañg-o-jadal mere ba.ad
kaise sūraj se nabard-āzmā hogā koī
kaun khelegā 'sharar' aag se kal mere ba.ad
kaun hoga meri jurat ka badal mere baad
KHatm ho jaega har radd-e-amal mere baad
kaun phir meri tarah tera uDaega mazaq
zindagi phir kise baKHshegi ajal mere baad
'mir' to 'mir' tha aur sach hi kaha tha us ne
sar-ba-gardan hi rahegi ye ghazal mere baad
koi qadmon se nahin raundega daulat un ki
kis se uljhenge ye arbab-e-duwal mere baad
nazm-e-alam bhi mujhi se main bina-e-alam
dekhna aaega aalam mein KHalal mere baad
ibn-e-adam ki jibillat hai anasir ka fasad
KHatm hogi bhi to ye jang-o-jadal mere baad
kaise suraj se nabard-azma hoga koi
kaun khelega 'sharar' aag se kal mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.