kaun hun kya hun batati nahin surat meri
kaun huuñ kyā huuñ batātī nahīñ sūrat merī
aa.ine meñ bhī hai rū-posh haqīqat merī
barf sī yuuñ to jamī rahtī hai hoñToñ pe magar
sho.ala ban jaatī hai āñkhoñ meñ sadāqat merī
dastakeñ shor meñ tabdīl hoñ is se pahle
kaash le jaa.e koī mujh se samā.at merī
ye bhī mausam kā taqāzā hai ki ġhunche kī tarah
har na.ī shāḳh pe khil jaatī hai hairat merī
hādisa mere muqaddar meñ ye likkhā hī nahīñ
varna dam toḌ chukī hotī sharāfat merī
kaun hun kya hun batati nahin surat meri
aaine mein bhi hai ru-posh haqiqat meri
barf si yun to jami rahti hai honTon pe magar
shoala ban jati hai aankhon mein sadaqat meri
dastaken shor mein tabdil hon is se pahle
kash le jae koi mujh se samaat meri
ye bhi mausam ka taqaza hai ki ghunche ki tarah
har nai shaKH pe khil jati hai hairat meri
hadisa mere muqaddar mein ye likkha hi nahin
warna dam toD chuki hoti sharafat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.