kaun kahta hai aah karta hun
kaun kahtā hai aah kartā huuñ
ye to ik dil meñ raah kartā huuñ
terī rahmat kā vāsta yā-rab
irtikāb-e-gunāh kartā huuñ
apnī hālat pe rashk aatā hai
ġhair par jab nigāh kartā huuñ
ġhair phir ġhair hai daġhā degā
baar baar intibāh kartā huuñ
ek but ke firāq meñ ghul kar
zindagānī tabāh kartā huuñ
ġhair kyā yūñhī jaan chhiḌkegā
jis tarah maiñ nibāh kartā huuñ
rahmateñ haath chuum letī haiñ
jab maiñ qasd-e-gunāh kartā huuñ
tang huuñ rāzdār se 'hājir'
tark sab rasm-o-rāh kartā huuñ
kaun kahta hai aah karta hun
ye to ek dil mein rah karta hun
teri rahmat ka wasta ya-rab
irtikab-e-gunah karta hun
apni haalat pe rashk aata hai
ghair par jab nigah karta hun
ghair phir ghair hai dagha dega
bar bar intibah karta hun
ek but ke firaq mein ghul kar
zindagani tabah karta hun
ghair kya yunhi jaan chhiDkega
jis tarah main nibah karta hun
rahmaten hath chum leti hain
jab main qasd-e-gunah karta hun
tang hun raazdar se 'hajir'
tark sab rasm-o-rah karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.