kaun kahta hai faqat waqt guzari hui hai
kaun kahtā hai faqat vaqt guzārī huī hai
maiñ ne ye umr tire ishq meñ haarī huī hai
mujh ko chalte hue mahsūs nahīñ hotā thā
kaise hijrat mire a.asāb pe taarī huī hai
maiñ judā.ī kī aziyyat ko samajh saktī huuñ
zindagī maiñ ne bhī furqat meñ guzārī huī hai
sab se mumtāz kiyā merī talab ne us ko
ab ke ushshāq meñ jab rā.e-shumārī huī hai
ye mohabbat bhī mire haath kī parvarda hai
is kī ye maañg mirī ḳhud kī sañvārī huī hai
terī chāhat meñ sañvārā hai ġhazal ko maiñ ne
aa zarā dekh ki kyā goTā kanārī huī hai
kaun kahta hai faqat waqt guzari hui hai
main ne ye umr tere ishq mein haari hui hai
mujh ko chalte hue mahsus nahin hota tha
kaise hijrat mere aasab pe tari hui hai
main judai ki aziyyat ko samajh sakti hun
zindagi main ne bhi furqat mein guzari hui hai
sab se mumtaz kiya meri talab ne us ko
ab ke ushshaq mein jab rae-shumari hui hai
ye mohabbat bhi mere hath ki parwarda hai
is ki ye mang meri KHud ki sanwari hui hai
teri chahat mein sanwara hai ghazal ko main ne
aa zara dekh ki kya goTa kanari hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.