kaun kahta hai ke har shaKHs farishta ho jae
kaun kahtā hai ke har shaḳhs farishta ho jaa.e
aadmī thoḌā to insān ke jaisā ho jaa.e
kitnā ma.asūm nazar aatā thā bachpan meñ mire
aa.ine meñ mirā phir se vahī chehra ho jaa.e
phir balā koī mere paas se guzre kaise
jab duā maañ kī mire sar kā dupaTTa ho jaa.e
āñdhiyoñ ko ye gumāñ hai ki bujhā deñgī charāġh
aur charāġhoñ ko ye zid hai ki ujālā ho jaa.e
TuuT saktā hai kisī pal bhī samundar kā ġhurūr
muñh agar moḌ leñ dariyā to ye pyāsā ho jaa.e
joḌnā aatā hai TuuTe hue shīshoñ ko mujhe
bas jo baal aa.e duā ye hai ki dhuñdlā ho jaa.e
bad-duā kab thī magar haañ mujhe aayā thā ḳhayāl
ishq jis se hai use vo bhī kisī kā ho jaa.e
kaun kahta hai ke har shaKHs farishta ho jae
aadmi thoDa to insan ke jaisa ho jae
kitna masum nazar aata tha bachpan mein mere
aaine mein mera phir se wahi chehra ho jae
phir bala koi mere pas se guzre kaise
jab dua man ki mere sar ka dupaTTa ho jae
aandhiyon ko ye guman hai ki bujha dengi charagh
aur charaghon ko ye zid hai ki ujala ho jae
TuT sakta hai kisi pal bhi samundar ka ghurur
munh agar moD len dariya to ye pyasa ho jae
joDna aata hai TuTe hue shishon ko mujhe
bas jo baal aae dua ye hai ki dhundla ho jae
bad-dua kab thi magar han mujhe aaya tha KHayal
ishq jis se hai use wo bhi kisi ka ho jae
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.