kaun kahta hai Khaar hain hum log
kaun kahtā hai ḳhaar haiñ ham log
gulsitāñ kī bahār haiñ ham log
ḳhāksārī hamārā sheva hai
asl meñ tājdār haiñ ham log
ham ko hathiyār kī zarūrat kyā
jab mohabbat-shi.ār haiñ ham log
taḳht vaale to ho ga.e ma.azūl
barsar-e-eqtidār haiñ ham log
sā.iloñ kī duā.eñ lete haiñ
kis qadar māl-dār haiñ ham log
hāl-o-māzī hamāre haiñ shāhid
qābil-e-e'tibār haiñ ham log
ham ko duniyā aziiz lagtī hai
naam ke dīn-dār haiñ ham log
kaun haiñ jo hameñ 'azīz' nahīñ
dushmanoñ ke bhī yaar haiñ ham log
kaun kahta hai KHar hain hum log
gulsitan ki bahaar hain hum log
KHaksari hamara shewa hai
asl mein tajdar hain hum log
hum ko hathiyar ki zarurat kya
jab mohabbat-shiar hain hum log
taKHt wale to ho gae mazul
barsar-e-eqtidar hain hum log
sailon ki duaen lete hain
kis qadar mal-dar hain hum log
haal-o-mazi hamare hain shahid
qabil-e-e'tibar hain hum log
hum ko duniya aziz lagti hai
nam ke din-dar hain hum log
kaun hain jo hamein 'aziz' nahin
dushmanon ke bhi yar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.