kaun kahta hai ki aa kar dekh lo
kaun kahtā hai ki aa kar dekh lo
haal āshiq kā bulā kar dekh lo
pūchhte kyā ho ki dil meñ kaun hai
lo ye ā.īna uThā kar dekh lo
pūchhnā ye hai ki pūchho mujh se haal
dekhnā ye hai ki aa kar dekh lo
vo agar dekhe to āñkheñ phuuT jaa.eñ
tum 'hasan' ko chhup-chhupā kar dekh lo
kaun kahta hai ki aa kar dekh lo
haal aashiq ka bula kar dekh lo
puchhte kya ho ki dil mein kaun hai
lo ye aaina uTha kar dekh lo
puchhna ye hai ki puchho mujh se haal
dekhna ye hai ki aa kar dekh lo
wo agar dekhe to aankhen phuT jaen
tum 'hasan' ko chhup-chhupa kar dekh lo
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 134)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.