kaun kahta hai ki haalat se be-zar hain hum
kaun kahta hai ki haalat se be-zar hain hum
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
kaun kahtā hai ki hālāt se be-zār haiñ ham
ai vatan tere liye barsar-e-paikār haiñ ham
ham se māñge na sanad koī vafādārī kī
āzmā.ish ke liye har ghaḌī tayyār haiñ ham
ham se baaqī hai abhī rang-e-vafā phūloñ meñ
kaise kahte ho chaman ke liye bekār haiñ ham
ham ne kab daulat-e-duniyā kī tamanna kī hai
tujh se bas pyaar mohabbat ke talabgār haiñ ham
ab nahīñ jā.eñge hijrat kī ridā oḌhe kahīñ
apne āñchal meñ chhupā le ki tirā pyaar haiñ ham
kaun kahta hai ki haalat se be-zar hain hum
ai watan tere liye barsar-e-paikar hain hum
hum se mange na sanad koi wafadari ki
aazmaish ke liye har ghaDi tayyar hain hum
hum se baqi hai abhi rang-e-wafa phulon mein
kaise kahte ho chaman ke liye bekar hain hum
hum ne kab daulat-e-duniya ki tamanna ki hai
tujh se bas pyar mohabbat ke talabgar hain hum
ab nahin jaenge hijrat ki rida oDhe kahin
apne aanchal mein chhupa le ki tera pyar hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.