kaun kahta hai ki mahrumi ka shikwa na karo
kaun kahtā hai ki mahrūmī kā shikva na karo
haañ magar sāqi-e-mai-ḳhāna ko rusvā na karo
zikr chhiḌ jaa.e agar qaum kī bad-baḳhtī kā
rahnumāoñ kī taraf koī ishāra na karo
zehn sanjīda masā.il se haTāne ke liye
roz ye shaiḳh o brahman kā tamāshā na karo
ek bhī lafz haTāne kī nahīñ gunjā.ish
mere paiġhām-e-mohabbat kā ḳhulāsa na karo
ye ta'alluq kī ḳharāsheñ bhī mazā detī haiñ
ruuTh jaa.e koī tum se to manāyā na karo
aaj bhī maiñ nahīñ insāñ se māyūs ki jab
log kahte haiñ ḳhudā par bhī bharosā na karo
kaun kahta hai ki mahrumi ka shikwa na karo
han magar saqi-e-mai-KHana ko ruswa na karo
zikr chhiD jae agar qaum ki bad-baKHti ka
rahnumaon ki taraf koi ishaara na karo
zehn sanjida masail se haTane ke liye
roz ye shaiKH o brahman ka tamasha na karo
ek bhi lafz haTane ki nahin gunjaish
mere paigham-e-mohabbat ka KHulasa na karo
ye ta'alluq ki KHarashen bhi maza deti hain
ruTh jae koi tum se to manaya na karo
aaj bhi main nahin insan se mayus ki jab
log kahte hain KHuda par bhi bharosa na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.