kaun kahta hai ki teri chashm-e-hairani mein hai
kaun kahtā hai ki terī chashm-e-hairānī meñ hai
vus'at-e-sahrā to merī chāk-dāmānī meñ hai
tū nahīñ miltā na mil is kā nahīñ shikva mujhe
jo ḳharābī hai vo terī zūd-paimānī meñ hai
saarī jāgīreñ yahīñ se bāñTtā rahtā huuñ maiñ
bādshāhī kā maza to dil kī sultānī meñ hai
hai jo parvāna to shab-bhar sho'la-e-raushan meñ rah
zindagī terī isī sham'-e-shabistānī meñ hai
aañkh kyā sīkhegī us ke sāmne aa.e baġhair
harf-e-hairat kā sabaq to ā.ina-ḳhvānī meñ hai
baiTh jaane de ise to maiñ nazar aa.uuñ tujhe
merā paikar bhī isī gard-e-bayābānī meñ hai
zikr bas merā hikāyat-nāma-e-vahshat meñ hai
mauj bas merī yam-e-sahrā kī tuġhyānī meñ hai
lutf jo pairāya-e-gang-o-jaman meñ hai 'anīs'
rang-e-chīñ meñ hai na vo sabk-e-ḳhurāsānī meñ hai
kaun kahta hai ki teri chashm-e-hairani mein hai
wus'at-e-sahra to meri chaak-damani mein hai
tu nahin milta na mil is ka nahin shikwa mujhe
jo KHarabi hai wo teri zud-paimani mein hai
sari jagiren yahin se banTta rahta hun main
baadshahi ka maza to dil ki sultani mein hai
hai jo parwana to shab-bhar sho'la-e-raushan mein rah
zindagi teri isi sham'-e-shabistani mein hai
aankh kya sikhegi us ke samne aae baghair
harf-e-hairat ka sabaq to aaina-KHwani mein hai
baiTh jaane de ise to main nazar aaun tujhe
mera paikar bhi isi gard-e-bayabani mein hai
zikr bas mera hikayat-nama-e-wahshat mein hai
mauj bas meri yam-e-sahra ki tughyani mein hai
lutf jo pairaya-e-gang-o-jaman mein hai 'anis'
rang-e-chin mein hai na wo sabk-e-KHurasani mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.