kaun kahta hai ki wahshat mere kaam aai hai
kaun kahtā hai ki vahshat mire kaam aa.ī hai
ye koī aur aziyyat mire kaam aa.ī hai
yūñhī maiñ tairtā phirtā nahīñ sahrāoñ meñ
ek dariyā kī nasīhat mire kaam aa.ī hai
log dīvāna samajhte hī nahīñ the mujh ko
mirī bigḌī huī hālat mire kaam aa.ī hai
varna jannat se kahāñ mujh ko nikālā jaatā
jo nahīñ kī vo ibādat mire kaam aa.ī hai
āḳhir-e-kār tirā hijr mayassar aayā
ab kahīñ jā ke mohabbat mire kaam aa.ī hai
kaun kahta hai ki wahshat mere kaam aai hai
ye koi aur aziyyat mere kaam aai hai
yunhi main tairta phirta nahin sahraon mein
ek dariya ki nasihat mere kaam aai hai
log diwana samajhte hi nahin the mujh ko
meri bigDi hui haalat mere kaam aai hai
warna jannat se kahan mujh ko nikala jata
jo nahin ki wo ibaadat mere kaam aai hai
aaKHir-e-kar tera hijr mayassar aaya
ab kahin ja ke mohabbat mere kaam aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.